Yeh Ghurbat-e-Ali Hai Yeh Ghurbat-e-Ali Hai Lyrics
Hay Ali A.s. Hay Zahra S.a. (2)
Pehlu Bhi Shikasta Hai Aur Qabr Bhi Tuti Hai (2)
Zahra S.a Ki Gareebi Hi Haider A.s. Ki Gareebi Hai
Yeh Ghurbat e Ali A.s Hai ..
Haq Mangne Jo Zahra(SA) Darbar Mein Gayi Hai.
Yeh Ghurbat e Ali A.s Hai
Awaz Aa Rahi Hai Bint-e-Mustafa(SAWW) Hoon.
Baba Ke Kalma Goyon Main Hi Tu Fatima(SA) Hoon.
Pehchanne Se Dunya (2) Inkar Kar Rahi Hai.
Yeh Ghurbat e Ali A.s Hai
Sun Kar Salam-e-Haider(AS) Koi Nahi Hai Rukta.
Wajib Nahi Samajhta Koi Jawab Dena.
Afsoos Fatima(SA) Bhi (2) Yeh Baat Janti Hai.
Yeh Ghurbat e Ali A.s Hai
Masjid Mein Sar Jhukaye Mula(AS) Khare Howay Hain.
Hakim Ki Tohmaton Ko Chup Chap Sun Rahe Hain.
Sadiqa(SA) Sab Ke Aagay (2) Jhutlai Ja Rahi Hai.
Yeh Ghurbat e Ali A.s Hai
Kehti Hain Ro Ke Zahra(SA) Jane Na Doon Gi Tanha.
Patkay Mein Murtaza(AS) Ke Hai Hath Syeda(SA) Ka.
Ab Hai Kissi Ka Dura (2) Our Dukhtar-e-Nabi(SAWW) Hai.
Yeh Ghurbat e Ali A.s Hai
Ik Koche Mein Pohanch Kar Dekha Hai Mujtaba(AS) Ne.
Zalim Ne Zarb Mari Kaise Khuda Hi Jane.
Bint-e-Nabi(SAWW) Zameen Par (2) Gash Kha Ke Gir Pari Hai.
Yeh Ghurbat e Ali A.s Hai
Mazloom-e-Karbala Ko Yaad Aa Gayi Sakina(SA).
Beti Pe Mustafa(SAWW) Ki Qunfuz Ka Hath Utha.
Pehlu Mein Murtaza(AS) Ki (2) Talwar Ro Pari Hai.
Yeh Ghurbat e Ali A.s Hai
Pehlu Bhi Hai Shikasta Hathon Pe Bhi Hain Chale.
Hai Aap Ki Amanat Ab Aap Ke Hawalay.
Yeh Keh Ke Murtaza(AS) Ne (2) Maiyat Nabi(SAWW) Ko Di Hai.
Yeh Ghurbat e Ali A.s Hai
Kafi Hai Bas Yeh Fiqrah Rone Ko Zindagi Bhar.
Hathon Ko Apne Aksar Kehte The Mal Ke Haider(AS).
Khaiber Shikan Ki Zojah (2) Ghut Ghut Ke Mar Gayi Hai.
Yeh Ghurbat e Ali A.s Hai
Kaise Likhe Takallum Ghurbat Ali Wali Ki.
Zojah Sahabiyon Ke Darbar Mein Gayi Thi.
Beti Sharabiyon Ke (2) Darbar Mein Gayi Hai.
Yeh Ghurbat e Ali A.s Hai
Poet: Mir Takallum Mir
Noha Khowan: Mir Hassan Mir
Ayyam-e-Fatima(SA) Noha 2017-18