Madine jau ya karbobala me reh jau
Ae bhai hussaina..(8)
Rehai paa ke jo zinda’n se be watan aai..(2)
Ye kehke gir gayi naaqe se roke chillai
ke mere haal pe roti hai ab to tanhai
salam karne ko aai hai teri maa jayi
tu hi bataa…
tu hi bata, mere bhaiyya kaha’n sukoo’n pau
madine jaau ya karbobala mein reh jau..(3)
tu hi bata, mere bhaiyya kaha’n sukoo’n pau
madine jaau ya karbobala mein reh jau
1. Sitam ne loot li ek din mein kayenaat meri
na jaane kaise basar hogi ab hayaat meri
na din sukoon se guzrega ab na raat meri
kaha’n hai laal mere jo sunenge baat meri
tu hi bataa…
2. Mai tujhko chodke bhaiyya kahi na jaungi
mai teri qabr ko apna watan banaungi
mai ek choti si basti yahi’n basaungi
mai zaereen ko paani yehi pilaungi
tu hi bataa…
3. Akeli reh gayi atthara bhaiyo ki bahan
jo hota ghazi to banti na bazuo mein rasan
batau kya ke jo puchenge mujhse ehle watan
hussain ko diya tumne batao kaise kafan
tu hi bataa…
4. Na koi mera yaha’n hai na koi mera waha’n
sakina shaam mein hai dafn aur tu hai yaha’n
kaha’n kaha’n kise royegi ab meri amma
na hoga ab kabhi abaad fatema ka maka’n
tu hi bataa…
5. Yaha’n hai asghare besheer aur waha’n jhula
yaha’n pe auno mohammad waha’n pe abdullah
jo pucha bacho ko unse mai kahungi kya
madina dil hai mera rooh meri karbobala
tu hi bataa…
6. Yaha’n hai qasim e khasta badan waha’n kubra
yaha’n shabihe payambar waha’n pe hai sughra
waha’n pe fazl akela yaha’n pe sab kunba
jawab kitne sawalo’n ka dungi mai tanha
tu hi bataa…
7. Ye haath jodke kehti hai teri maa jayi
duaein dengi mere bhai meri tanhai
bus ek din ko mere saath chal mere bhai
lagega jaise madine mein fir bahaar aayi
tu hi bataa…
8. Lo jaa rahi hai bahan alwida mere bhai
rahi jo zinda to phir aayegi ye maa jayi
raza ye sunte hi qabr e hussain tharrayi
phir iske baad kabhi ye sada nahi aayi
tu hi bataa…