Bismillahi noor e khuda
Bismillahi shams uz zoha
Bismillahi ayn ul yaqeen
yab na ameerul mo’mineen..(3)
Haan….
Aye yaare mann, aye yaare mann
aye dilbaro dildaar e mann
aye sayyedo sardaar e mann
aye rahbaro salaar e mann..(2)
ali…ali…ali…ali….
Aye naaz e mann, dastaar e mann
aye mahramo ghumkhwaar e mann
aye maliko mukhtaar e mann
aye hazrat e sultaan e mann…
ali…ali…ali…ali….
Bismillahi noor e khuda
Bismillahi shams uz zoha
Bismillahi ayn ul yaqeen
yab na ameerul mo’mineen..(3)
Hussain Sarallah… aba abdillah..(3)
Bismillahi……
Aye murshid e mann aye wali
maula hussain ibn e ali
aye aashiq o ki aagahi
rasme wafa tujhse chali..(2)
pohcha jo mai teri gali
qadmo se peshani mali
apni khabar bhi na rahi
aye mahwar e eeman e mann..(2)
Bismillahi…
Mai nauhakhwaa tere liye
meri zabaa’n tere liye
mera bayaa’n tere liye
ye jism o jaa’n tere liye
ghum ki azaa’n tere liye
ashk e rawaa tere liye
matam kunaa tere liye
aye girya e mishgaaan e mann
Bismillahi…
Wo ho najaf ya karbala..(2)
dono se hai roohe baqa
wo sajdagaah e qudsiyaa’n
ye karbala khaak e shifa..(2)
wo ibtedaa ye intehaa
dono shahadat ka silaa
hai silsila dar silsila
har jaa ali ka khoo baha
bahaa ali ka khoo bahaa..(2)
na aisa koi soorma
na aisa koi raah bar
lahoo me apne tar ba tar
bala ki pyaasi hai magar
hazaaro qatilo me bhi
chala hai jo utha ke sar
ye kaun hai aseere ghum
ye puch aye hawae ghum
ye kaun hai ye kaun hai..(3)
haan.. ahmed ka nawaasa hai..
ye kaun hai ye kaun hai
haan.. haider ka saraapa hai
ye kaun hai ye kaun hai
haan.. zahra ka dulara hai
ye kaun hai ye kaun hai
haan.. shabbar ka bhaiyya hai
ye kaun hai ye kaun hai
haan.. zainab ka sahara hai
abbas ka aaqa hai
akbar ka ye baba hai
haan.. ye hussain hai ye..(2)
ye ishq e rabbani
ye gauhar e jaani
ye fehme qur’aani
ye ehle furqaani
ye zikre toofani
ye noore tabani
yabna ameeril mu’mineen..(2)
Sarallah… aba abdillah
Hussain Sarallah… aba abdillah..(3)
Qasam ali ke khoon ki
hussain phir hussain hai
rehan o sarwar e azaa
baraye deen e mustafa
ye apna ghar luta chuka
hazaar zakhm khaa chuka
jhuka nahi daba nahi
jama raha dataa raha
jhuka nahi hila nahi
daba nahi thama nahi
thaka nahi ruka nahi
hussain phir hussain hai..(8)