Ghul machate be adab wo kufiyaane bad zabaan..(2)
wahshato’n ke dayere mein thi ali ki betiya’n
zalimo ke saamne, qatilo’n ke darmiyaa’n
choti dukhtare ali ki aa rahi thi ye sadaa
hussainnn…
nauha ye tha kulsoom ka, aye kufiyane bewafa..(2)
aye kufiyane bewafa, aye zalimo ehle jafa
hai tumhe khabar, tum ho aashna
kiska ghar luta, kiska khoo’n baha
haye tumne ye kya kar diya
kisko loot kar, ghar jala diya
hai zabano par kalma e khuda
phir bhi seeno mein dil hai sang ka..(2)

1. Us hussain ko qatl kar diya
jiske paas hai marziye khuda
deen jiske ghar surkhroo hua
jis hussain ka, nana mustafa(s.a.w.w)..(2)
jis hussain ka, baba murtaza(a.s.)
jis hussain ki, maa hai sayyeda(s.a.)
ru baru agar hoga saamna
kaise jaoge peshe kibriya(s.w.t)..(2)
aye kufiyane bewafa, aye zalimo ehle jafa
hai tumhe khabar, tum ho aashna
kiska ghar luta, kiska khoo’n baha
haye tumne ye kya kar diya
kisko loot kar, ghar jala diya
hai zabano par kalma e khuda
phir bhi seeno mein dil hai sang ka..(2)
2. Zulm kaunsa humpe na hua
phir bhi hum rahe raazi ba raza
bhai ko mere dhoka dediya
saath na diya, akela kar diya..(2)
pehle khat likhe aur bula liya
phir ghareeb ka khoo’n baha diya
mat zameen par tum bano khuda
waqt hai qareeb hoga faisla..(2)
aye kufiyane bewafa, aye zalimo ehle jafa
hai tumhe khabar, tum ho aashna
kiska ghar luta, kiska khoo’n baha
haye tumne ye kya kar diya
kisko loot kar, ghar jala diya
hai zabano par kalma e khuda
phir bhi seeno mein dil hai sang ka..(2)
3. Aye kufiyo, zulm hogaya
aale mustafa se muqabela
itrate nabi hum hai ba khuda
zere aasma’n sar khula hua..(2)
baandh kar hame qaid kar liya
aur phir hame baaghi keh diya
jis ke nana se deene haq mila
us nawase ko ye sila mila
aye kufiyane bewafa, aye zalimo ehle jafa
hai tumhe khabar, tum ho aashna
kiska ghar luta, kiska khoo’n baha
haye tumne ye kya kar diya
kisko loot kar, ghar jala diya
hai zabano par kalma e khuda
phir bhi seeno mein dil hai sang ka..(2)
4. Wa museebata, wa museebata
wa museebata, yu chaman luta
gher kar hame, laaye karbala
band hum pe phir paani kar diya
qatl kar diya ghar ka ghar mera
sayyedo ke sar kar diye juda
zulm ki hui hampe inteha
tum pe waay ho haay kya kiya
ajr e mustafa yu adaa kiya..(2)